Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai


phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai,


to (woh kaala nukta khatm hojaata hai aur) dil bilkul saaf hojaata hai


(aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai


yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai.


(Tirimizi: 3334)

QURANISM.NET
Tirmidhi hadees in hindi, urdu Gunah hadees in hindi urdu english

Random Hadees

Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Aye aadam ke bete (insaan) ! Agar tu zaroorat se zaaid maal (bhalaai ke kaamon mein) kharch kar de toh yeh tere liye behtar hai aur agar tu use roke rakhe toh yeh tere liye bura hai.

(Muslim: 2388)