Rasulullah ﷺ ne farmaaya:


Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai,


Jis ke akhlaaq sab se achchhe hon


Aur tum mein sab se achchhe log woh hain,


Jo apni biwiyon ke haq mein akhlaaq ke etibaar se sab se achchhe hoon.


(Tirmizi: 1162)

QURANISM.NET
Tirmidhi hadees in hindi, urdu Akhlaaq hadees in hindi urdu english

Random Hadees

Hadees: Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai

phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai,

to (woh kaala nukta khatm hojaata hai aur) dil bilkul saaf hojaata hai

(aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai

yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai.

(Tirimizi: 3334)