Huzoor ﷺ ne ek martaba apne ek khwaab ka zikr kiya jis mein jhoote aadmi par hone waale azaab ka zikr karte huwe farmaaya: Phir ham aise shakhs ke paas pahonche jo leta huwa tha aur us ke sar ki taraf ek aur shakhs tha, jo lohe ki kainchi se us ke jabde aur aankhein guddi tak kaat raha tha. Jab ek taraf kaat leta, to doosri taraf kaat'ta tha, abhi ek taraf poori taur par kaat bhi nahin paata ke doosri taraf sahi ho jaata. Main ne (apne saath maujood 2 farishton se) poochha: Yeh kaon hain? Unhon ne bataaya ke yeh shakhs jhoot bolta tha (usi ki saza di jaarahi hai) is ke saath qayaamat tak yahi muaamla hota rahega.
(Bukhaari: 1386)
Quotes By Bukhari
Top Topicsall topics
Random Hadees
Duas: When waking up
اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillaahil-lathee 'ahyaanaa ba'da maa 'amaatanaa wa'ilayhin-nushoor.
English Meaning
Praise is to Allah Who gives us life after He has caused us to die and to Him is the return.
(Al-Bukhari, Muslim)